kisi bhi taur gulistan ka karobar chale
kisī bhī taur gulistāñ kā kārobār chale
chaman pe aa.e phaban bād-e-nau-bahār chale
fazā ḳhamosh hai aur dil bhī hai udaas udaas
ḳhudā ke vāste aise meñ zikr-e-yār chale
hamāre zaḳhm ke Tāñke bhī aaj khul jaa.eñ
kuchh is adā se abhī bād-e-nau-bahār chale
hameñ zamāne ne samjhā tirā hī dīvāna
to ham bhī kar ke garebāñ ko taar taar chale
'kalīm' ko to tirī bazm bhī na raas aa.ī
vo apnī dhun meñ uThe aur sū-e-dār chale
kisi bhi taur gulistan ka karobar chale
chaman pe aae phaban baad-e-nau-bahaar chale
faza KHamosh hai aur dil bhi hai udas udas
KHuda ke waste aise mein zikr-e-yar chale
hamare zaKHm ke Tanke bhi aaj khul jaen
kuchh is ada se abhi baad-e-nau-bahaar chale
hamein zamane ne samjha tera hi diwana
to hum bhi kar ke gareban ko tar tar chale
'kalim' ko to teri bazm bhi na ras aai
wo apni dhun mein uThe aur su-e-dar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.