kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki
kisī bhī taur tabī.at kahāñ sambhalne kī
tū mil bhī jaa.e to hālat nahīñ badalne kī
ḳhud apnī ham-safarī se bhī ho ga.e mahrūm
ki aarzū thī tujhe saath le ke chalne kī
kisī tarah to mile qahr-e-bekasī se najāt
koī to raah ho is karb se nikalne kī
asiir hī rahe ham pichhle ahd-nāmoñ ke
hameñ ḳhabar hī nahīñ thī ruteñ badalne kī
havāoñ ne hameñ jaḌ se ukhāḌ kar pheñkā
ki aarzū thī hameñ phūlne kī phalne kī
banā liyā hameñ apnī hī tarah kā tū ne
hameñ jo zid thī tirī ḳhvāhishoñ meñ Dhalne kī
udaas shāmoñ ko kyā dekh dekh rote ho
abhī to ā.eñgī rāteñ lahū ugalne kī
ek aise vaqt meñ jab zindagī bhī maut lage
'riyāz' kaun sī sūrat ho dil bahalne kī
kisi bhi taur tabiat kahan sambhalne ki
tu mil bhi jae to haalat nahin badalne ki
KHud apni ham-safari se bhi ho gae mahrum
ki aarzu thi tujhe sath le ke chalne ki
kisi tarah to mile qahr-e-bekasi se najat
koi to rah ho is karb se nikalne ki
asir hi rahe hum pichhle ahd-namon ke
hamein KHabar hi nahin thi ruten badalne ki
hawaon ne hamein jaD se ukhaD kar phenka
ki aarzu thi hamein phulne ki phalne ki
bana liya hamein apni hi tarah ka tu ne
hamein jo zid thi teri KHwahishon mein Dhalne ki
udas shamon ko kya dekh dekh rote ho
abhi to aaengi raaten lahu ugalne ki
ek aise waqt mein jab zindagi bhi maut lage
'riyaz' kaun si surat ho dil bahalne ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.