kisi bhi zahr se mujhko nahin koi parhez
kisī bhī zahr se mujh ko nahīñ koī parhez
magar hai shart bas itnī ki ho na shahd-āmez
vo Dar gayā jo nazar aa.ī fāḳhta us ko
vo jis ke haath hamesha se hī rahe ḳhūñ-rez
maiñ ḳhud samajh na sakā aaj tak ye apnā tilism
ki mujh meñ hai kabhī farhād aur kabhī parvez
namī pasīnoñ kī miltī rahī hai us ko aur
azal se baaqī hai ab tak jo ḳhaak hai zarḳhez
ye tishnagī thī mirī jis ne sar-nigūñ na kiyā
the be-shumār vahāñ jaam aur sab labrez
ki ek roz meñ kah lī hai maiñ ne ek ġhazal
us ek shaḳhs kī qurbat hai kyā ġhazal-añgez
kisi bhi zahr se mujh ko nahin koi parhez
magar hai shart bas itni ki ho na shahd-amez
wo Dar gaya jo nazar aai faKHta us ko
wo jis ke hath hamesha se hi rahe KHun-rez
main KHud samajh na saka aaj tak ye apna tilism
ki mujh mein hai kabhi farhad aur kabhi parwez
nami pasinon ki milti rahi hai us ko aur
azal se baqi hai ab tak jo KHak hai zarKHez
ye tishnagi thi meri jis ne sar-nigun na kiya
the be-shumar wahan jam aur sab labrez
ki ek roz mein kah li hai main ne ek ghazal
us ek shaKHs ki qurbat hai kya ghazal-angez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.