kisi buzurg pahaDi pe tu utarta hai
kisī buzurg pahāḌī pe tū utartā hai
qadīm dasht-e-ġhashī meñ ḳhirām kartā hai
shajar kī chhāl utarte faqīr rone lagā
badan kī khaal udheḌo to phir nikhartā hai
masām chiir ke ugtī hai jism par utran
hamārā zahr ḳhad-o-ḳhāl se utartā hai
uThā hijāb jalā de charāġh ma.abad ke
jahān-e-gard tirā ab qiyām kartā hai
ajiib ḳhaak chamaktī hai apne chehre par
ye aa.ina to hameñ dekh kar sañvartā hai
hamāre jism pe kanda hazār-hā naqshe
hamārī aañkh se har rāsta guzartā hai
kahīñ se harf utartā hai baur kī sūrat
jo mujh se bāñjh daraḳhtoñ kī shāḳheñ bhartā hai
kisi buzurg pahaDi pe tu utarta hai
qadim dasht-e-ghashi mein KHiram karta hai
shajar ki chhaal utarte faqir rone laga
badan ki khaal udheDo to phir nikharta hai
masam chir ke ugti hai jism par utran
hamara zahr KHad-o-KHal se utarta hai
uTha hijab jala de charagh mabad ke
jahan-e-gard tera ab qiyam karta hai
ajib KHak chamakti hai apne chehre par
ye aaina to hamein dekh kar sanwarta hai
hamare jism pe kanda hazar-ha naqshe
hamari aankh se har rasta guzarta hai
kahin se harf utarta hai baur ki surat
jo mujh se banjh daraKHton ki shaKHen bharta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.