kisi chaman mein Thaharte nahin saba ki tarah
kisī chaman meñ Thaharte nahīñ sabā kī tarah
khilā ke phuul guzarte haiñ ham havā kī tarah
hamāre ahd meñ kuchh aise bhī haiñ farzāne
ḳhudā nahīñ haiñ magar rahte haiñ ḳhudā kī tarah
vo apne ḳhol se nikle to muñh chhupā le badī
vo ek shaḳhs jo rahtā hai devtā kī tarah
hazār shimr jafāoñ pe haiñ kamar-basta
ye daur ham pe musallat hai karbalā kī tarah
bahut dinoñ se hai ḳhud apnī justujū mujh ko
bikhar gayā huuñ fazā meñ kisī sadā kī tarah
mujhe ḳhud apne tahaffuz kī fikr kyā hotī
vo mujh se miltā rahā dard-āshnā kī tarah
mahak uThā mire saare vajūd kā sahrā
jo dasht-e-zehn se guzre ho tum sabā kī tarah
har ek chehre pe hai aks ajnabiyyat kā
koī to mujh ko nazar aa.e āshnā kī tarah
nikhar uThe mirā sahrā-e-zīst bhī 'mehdī'
kabhī idhar jo baras jaa.e vo ghaTā kī tarah
kisi chaman mein Thaharte nahin saba ki tarah
khila ke phul guzarte hain hum hawa ki tarah
hamare ahd mein kuchh aise bhi hain farzane
KHuda nahin hain magar rahte hain KHuda ki tarah
wo apne KHol se nikle to munh chhupa le badi
wo ek shaKHs jo rahta hai dewta ki tarah
hazar shimr jafaon pe hain kamar-basta
ye daur hum pe musallat hai karbala ki tarah
bahut dinon se hai KHud apni justuju mujh ko
bikhar gaya hun faza mein kisi sada ki tarah
mujhe KHud apne tahaffuz ki fikr kya hoti
wo mujh se milta raha dard-ashna ki tarah
mahak uTha mere sare wajud ka sahra
jo dasht-e-zehn se guzre ho tum saba ki tarah
har ek chehre pe hai aks ajnabiyyat ka
koi to mujh ko nazar aae aashna ki tarah
nikhar uThe mera sahra-e-zist bhi 'mehdi'
kabhi idhar jo baras jae wo ghaTa ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.