kisi Dhab rah par ab qalb-e-diwana nahin aata
kisī Dhab raah par ab qalb-e-dīvāna nahīñ aatā
ki ashk āñkhoñ meñ haiñ aur lab pe afsāna nahīñ aatā
nahīñ sīkhā mire ġham ne ḳhushī meñ mahv ho jaanā
mire nāloñ ko naġhmoñ meñ samā jaanā nahīñ aatā
har ik zarre ko sajda kar ke bhī mahrūm-e-manzil huuñ
hazāroñ ka.abe aa.e ek but-ḳhāna nahīñ aatā
mohabbat zindagī kī jaan ġham jān-e-mohabbat hai
samajhtā huuñ magar duniyā ko samjhānā nahīñ aatā
mohabbat aag hai maiñ aag meñ jaltā huuñ aur ḳhush huuñ
mujhe ġham khā rahā hai mujh ko ġham khānā nahīñ aatā
jigar ke daaġh kaise daaġh haiñ be-nūr-o-be-raunaq
ye sham.eñ kyā haiñ jin par koī parvāna nahīñ aatā
junūñ meñ ahl-e-dil kā ye bhī ik andāza hai 'fitrat'
ki Thokar khānā aatā hai sañbhal jaanā nahīñ aatā
kisi Dhab rah par ab qalb-e-diwana nahin aata
ki ashk aankhon mein hain aur lab pe afsana nahin aata
nahin sikha mere gham ne KHushi mein mahw ho jaana
mere nalon ko naghmon mein sama jaana nahin aata
har ek zarre ko sajda kar ke bhi mahrum-e-manzil hun
hazaron kabe aae ek but-KHana nahin aata
mohabbat zindagi ki jaan gham jaan-e-mohabbat hai
samajhta hun magar duniya ko samjhana nahin aata
mohabbat aag hai main aag mein jalta hun aur KHush hun
mujhe gham kha raha hai mujh ko gham khana nahin aata
jigar ke dagh kaise dagh hain be-nur-o-be-raunaq
ye shamen kya hain jin par koi parwana nahin aata
junun mein ahl-e-dil ka ye bhi ek andaza hai 'fitrat'
ki Thokar khana aata hai sanbhal jaana nahin aata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.