kisi diwar se bhi kab kahi hai
kisī dīvār se bhī kab kahī hai
jo hasrat dil kī thī dil meñ rahī hai
utar kar parbatoñ se jab bahī hai
kahāñ shaffāf phir naddī rahī hai
tirī furqat meñ kab guzrī thī mujh par
qayāmat jo tujhe mil kar sahī hai
kabhī vo log phir guzre na dil se
musāfir aur haiñ rasta vahī hai
gumāñ hone lagā dariyā kā un par
kuchh aise ab ke har naddī bahī hai
to kyā tum bhī chaloge saath mere
tumhārā rāsta bhī kyā yahī hai
faqat badlī hai terī soch 'ḳhāvar'
vahī haiñ titliyāñ gul bhī vahī hai
kisi diwar se bhi kab kahi hai
jo hasrat dil ki thi dil mein rahi hai
utar kar parbaton se jab bahi hai
kahan shaffaf phir naddi rahi hai
teri furqat mein kab guzri thi mujh par
qayamat jo tujhe mil kar sahi hai
kabhi wo log phir guzre na dil se
musafir aur hain rasta wahi hai
guman hone laga dariya ka un par
kuchh aise ab ke har naddi bahi hai
to kya tum bhi chaloge sath mere
tumhaara rasta bhi kya yahi hai
faqat badli hai teri soch 'KHawar'
wahi hain titliyan gul bhi wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.