kisi din dekh lo aalam meri betabi-e-dil ka
kisi din dekh lo aalam meri betabi-e-dil ka
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
kisī din dekh lo aalam mirī betābī-e-dil kā
tamāshā dekhnā manzūr hai gar raqs-e-bismil kā
agar yaad aa gayā ik dam taḌapnā mujh se bismil kā
har ik jauhar banegā chashm-e-giryāñ teġh-e-qātil kā
gunahgāroñ pe apne gar chalegī tez ho ho kar
yaqīñ hotā hai dam chaḌh jā.egā shamshīr-e-qātil kā
vo giryāñ thā asar baaqī hai jis kā ba.ad-e-murdan bhī
Tapaktā hai banāte haiñ agar kaasa mirī gil kā
shahādat to milī lekin burā ho saḳht-jānī kā
rahegā dard dil meñ sadma-e-bāzū-e-qātil kā
dikhā do āḳhirī dīdār āsānī se dam nikle
nahīñ mushkil hai kuchh āsān honā merī mushkil kā
namāz apnī qazā ho jā.egī ka.abe meñ ai vaa.iz
dam-e-takbīr gar dhyān aa gayā abrū-e-qātil kā
shahīd-e-teġh-e-abrū jānte the dost gar mujh ko
kafan denā thā dāmān-e-nigāh-e-nāz-e-qātil kā
hamārī saḳht-jānī se huī ḳhiffat use hāsil
isī baa.is se muñh utrā huā hai teġh-e-qātil kā
safā.ī is ko kahte haiñ ki qismat tak nahīñ baaqī
mirī gardan pe ye ehsān hai shamshīr-e-qātil kā
tire ai rashk-e-lailā kyoñ na hoñ jinn-o-bashar āshiq
banā hai parda-e-chashm-e-parī se parda mahmil kā
tū hī shauq-e-shahādat kuchh hamārī dast-gīrī kar
qadam uThte nahīñ aur hai irāda kū-e-qātil kā
Daro dil meñ ḳhudā kā ḳhauf karnā tum ko lāzim hai
huā achchhā nahīñ mismār karnā ka.aba-e-dil kā
na chaar āñkheñ kisī se kiiñ chalā vo sho.ala-rū uTh kar
bajā ronā hai ye āTh-āTh aañsū sham-e-mahfil kā
tire bīmār ko habb-e-shifā kī kyā zarūrat hai
abhī sehat ho gar bosa mile ruḳhsār ke til kā
gale se jis tarah tauq-e-gulū ko mere ulfat hai
rahegā paañv se bhī silsila qaa.em salāsil kā
butān-e-sang-dil ke dil meñ har dam yaad rahtī hai
ta.ajjub kyā agar ho jaa.e mujh ko āriza sil kā
na kyūñkar nūr-afzā-e-nigāh-e-ishq-bāzāñ ho
tumhārī zulf duuda hai charāġh-e-māh-e-kāmil kā
talāsh ik rashk-e-lailā kī hai aisī dasht-e-vahshat meñ
ki mujh ko har bagūle par gumāñ hotā hai mahmil kā
hazār ai jaan tum chāh-e-zaqan par zulf laTkā do
nikalnā saḳht mushkil hai hamāre yūsuf-e-dil kā
hamārī aah bijlī kī tarah taḌpegī ai 'vahbī'
banegā āsmāñ jis vaqt dūd-e-ātish-e-dil kā
kisi din dekh lo aalam meri betabi-e-dil ka
tamasha dekhna manzur hai gar raqs-e-bismil ka
agar yaad aa gaya ek dam taDapna mujh se bismil ka
har ek jauhar banega chashm-e-giryan tegh-e-qatil ka
gunahgaron pe apne gar chalegi tez ho ho kar
yaqin hota hai dam chaDh jaega shamshir-e-qatil ka
wo giryan tha asar baqi hai jis ka baad-e-murdan bhi
Tapakta hai banate hain agar kasa meri gil ka
shahadat to mili lekin bura ho saKHt-jaani ka
rahega dard dil mein sadma-e-bazu-e-qatil ka
dikha do aaKHiri didar aasani se dam nikle
nahin mushkil hai kuchh aasan hona meri mushkil ka
namaz apni qaza ho jaegi kabe mein ai waiz
dam-e-takbir gar dhyan aa gaya abru-e-qatil ka
shahid-e-tegh-e-abru jaante the dost gar mujh ko
kafan dena tha daman-e-nigah-e-naz-e-qatil ka
hamari saKHt-jaani se hui KHiffat use hasil
isi bais se munh utra hua hai tegh-e-qatil ka
safai is ko kahte hain ki qismat tak nahin baqi
meri gardan pe ye ehsan hai shamshir-e-qatil ka
tere ai rashk-e-laila kyon na hon jinn-o-bashar aashiq
bana hai parda-e-chashm-e-pari se parda mahmil ka
tu hi shauq-e-shahadat kuchh hamari dast-giri kar
qadam uThte nahin aur hai irada ku-e-qatil ka
Daro dil mein KHuda ka KHauf karna tum ko lazim hai
hua achchha nahin mismar karna kaba-e-dil ka
na chaar aankhen kisi se kin chala wo shoala-ru uTh kar
baja rona hai ye aaTh-aTh aansu sham-e-mahfil ka
tere bimar ko habb-e-shifa ki kya zarurat hai
abhi sehat ho gar bosa mile ruKHsar ke til ka
gale se jis tarah tauq-e-gulu ko mere ulfat hai
rahega panw se bhi silsila qaem salasil ka
butan-e-sang-dil ke dil mein har dam yaad rahti hai
tajjub kya agar ho jae mujh ko aariza sil ka
na kyunkar nur-afza-e-nigah-e-ishq-bazan ho
tumhaari zulf duda hai charagh-e-mah-e-kaamil ka
talash ek rashk-e-laila ki hai aisi dasht-e-wahshat mein
ki mujh ko har bagule par guman hota hai mahmil ka
hazar ai jaan tum chah-e-zaqan par zulf laTka do
nikalna saKHt mushkil hai hamare yusuf-e-dil ka
hamari aah bijli ki tarah taDpegi ai 'wahbi'
banega aasman jis waqt dud-e-atish-e-dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.