kisi fasad na koi tabah-kari mein
kisī fasād na koī tabāh-kārī meñ
kaTī hai umr mohabbat kī ābyārī meñ
chale haiñ ab vo gulāboñ kī khetiyāñ karne
sharīk hote the kal tak jo sang-bārī meñ
zamāna ulTe ma.ānī nikāl letā hai
ab ehtiyāt bhī lāzim hai ḳhāksārī meñ
vo apne lams kī ḳhushbū bhī rakh gayā is meñ
khile the phuul jo ik roz dil kī kyārī meñ
maiñ us ko niiñd kā hissa banā.ūñ bhī kaise
ab us ke ḳhvāb bhī aate nahīñ savārī meñ
ye baat sach hai ki ajdād bādshāh the magar
gine to jaate haiñ ham log ab bhikārī meñ
chal us ke hijr meñ ab qahqahe lagā 'dilbar'
guzārā vaqt bahut tū ne āh-o-zārī meñ
kisi fasad na koi tabah-kari mein
kaTi hai umr mohabbat ki aabyari mein
chale hain ab wo gulabon ki khetiyan karne
sharik hote the kal tak jo sang-bari mein
zamana ulTe maani nikal leta hai
ab ehtiyat bhi lazim hai KHaksari mein
wo apne lams ki KHushbu bhi rakh gaya is mein
khile the phul jo ek roz dil ki kyari mein
main us ko nind ka hissa banaun bhi kaise
ab us ke KHwab bhi aate nahin sawari mein
ye baat sach hai ki ajdad baadshah the magar
gine to jate hain hum log ab bhikari mein
chal us ke hijr mein ab qahqahe laga 'dilbar'
guzara waqt bahut tu ne aah-o-zari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.