Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi guman kisi imkan ka ruKH nahin karti

Lais Quraishi

kisi guman kisi imkan ka ruKH nahin karti

Lais Quraishi

kisī gumāñ kisī imkāñ ruḳh nahīñ kartī

nigāh jalva-e-arzāñ ruḳh nahīñ kartī

basī huī hai jo ābādiyoñ meñ barbādī

junūñ mauj bayābāñ ruḳh nahīñ kartī

sabā ko fasl-e-bahārāñ se kyā milā āḳhir

vo gul khile ki gulistāñ ruḳh nahīñ kartī

hisār-e-vaqt meñ apnā vujūd hai mahbūs

asīrī ab rah-e-zindāñ ruḳh nahīñ kartī

mire 'azīzoñ meñ rusvā mirī rifāqat hai

jabhī ye halqa-e-yārāñ ruḳh nahīñ kartī

fazā to nūr-e-sadāqat se jagmagātī hai

ye raushnī dil-e-insāñ ruḳh nahīñ kartī

vo kuchh nahīñ koī farsūda rivāyat hai

vo fikr jo na.e 'unvāñ ruḳh nahīñ kartī

havā bhī kitnī zamāna-shanās hai ai 'lais'

har ek sehn-e-gulistāñ ruḳh nahīñ kartī

kisi guman kisi imkan ka ruKH nahin karti

nigah jalwa-e-arzan ka ruKH nahin karti

basi hui hai jo aabaadiyon mein barbaadi

junun ki mauj bayaban ka ruKH nahin karti

saba ko fasl-e-bahaaran se kya mila aaKHir

wo gul khile ki gulistan ka ruKH nahin karti

hisar-e-waqt mein apna wujud hai mahbus

asiri ab rah-e-zindan ka ruKH nahin karti

mere 'azizon mein ruswa meri rifaqat hai

jabhi ye halqa-e-yaran ka ruKH nahin karti

faza to nur-e-sadaqat se jagmagati hai

ye raushni dil-e-insan ka ruKH nahin karti

wo kuchh nahin koi farsuda si riwayat hai

wo fikr jo nae 'unwan ka ruKH nahin karti

hawa bhi kitni zamana-shanas hai ai 'lais'

har ek sehn-e-gulistan ka ruKH nahin karti

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now