kisi hasin pe naseh ko pyar aae to
kisī hasīn pe nāseh ko pyaar aa.e to
hameñ buḳhār hai us ko buḳhār aa.e to
uThā.e ishq kā kāñdhe pe baar aa.e to
qulī bane ki bane haiñ kahār aa.e to
balā kī tarah na ushshāq sab chimaT jaa.eñ
zabān-e-shoḳh pe haañ ek baar aa.e to
jo sin Dhalā hai to ho vaqf-e-surḳhī-o-powder
ḳhizāñ ke daur meñ fasl-e-bahār aa.e to
vo ek ham haiñ ki har saañs hai vafā-āmez
vo ek tū hai jise e.atibār aa.e to
javānī aa.ī hai nāz-o-adā ayaañ ho jaa.eñ
hai dam pe husn kī khichḌī achār aa.e to
sunā hai gor-e-ġharībāñ meñ aspatāl nahīñ
agar kisī ko lahad meñ buḳhār aa.e to
kisi hasin pe naseh ko pyar aae to
hamein buKHar hai us ko buKHar aae to
uThae ishq ka kandhe pe bar aae to
quli bane ki bane hain kahaar aae to
bala ki tarah na ushshaq sab chimaT jaen
zaban-e-shoKH pe han ek bar aae to
jo sin Dhala hai to ho waqf-e-surKHi-o-powder
KHizan ke daur mein fasl-e-bahaar aae to
wo ek hum hain ki har sans hai wafa-amez
wo ek tu hai jise eatibar aae to
jawani aai hai naz-o-ada ayan ho jaen
hai dam pe husn ki khichDi achaar aae to
suna hai gor-e-ghariban mein aspatal nahin
agar kisi ko lahad mein buKHar aae to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.