kisi hikmat kisi tadbir se bahar nikle
kisī hikmat kisī tadbīr se bāhar nikle
paañv ik baar to zanjīr se bāhar nikle
yuuñ hamā.il huī kal shaam tirī yaad ki ham
sub.h-dam nāla-e-shab-gīr se bāhar nikle
ishq meñ shahd hai is raaz se parda uTThā
log jab bū-e-muġhāfīr se bāhar nikle
aaj phir baḳht ne darvāze pe dastak dī thī
aaj bhī ham zarā tāḳhīr se bāhar nikle
us kī jā vo nahīñ dīvār ye apnā dil hai
us se kah de koī tasvīr se bāhar nikle
hijr kā ġham bhī nahīñ vasl kī ḳhvāhish bhī nahīñ
le mohabbat tirī jāgīr se bāhar nikle
kuchh maza aayā hai jiine kā hameñ bhī 'aḳhlāq'
jab guzargāh-e-dasātīr se bāhar nikle
kisi hikmat kisi tadbir se bahar nikle
panw ek bar to zanjir se bahar nikle
yun hamail hui kal sham teri yaad ki hum
subh-dam nala-e-shab-gir se bahar nikle
ishq mein shahd hai is raaz se parda uTTha
log jab bu-e-mughafir se bahar nikle
aaj phir baKHt ne darwaze pe dastak di thi
aaj bhi hum zara taKHir se bahar nikle
us ki ja wo nahin diwar ye apna dil hai
us se kah de koi taswir se bahar nikle
hijr ka gham bhi nahin wasl ki KHwahish bhi nahin
le mohabbat teri jagir se bahar nikle
kuchh maza aaya hai jine ka hamein bhi 'aKHlaq'
jab guzargah-e-dasatir se bahar nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.