kisi jaanib bhi mera ‘azm-e-safar hota hai
kisī jānib bhī mirā ‘azm-e-safar hotā hai
dhyān meñ ek faqat terā nagar hotā hai
ab yahāñ rakhtā hai har koī faqat kaam se kaam
ab kahāñ koī bhī manzūr-e-nazar hotā hai
jo bhī aatā hai guzar jaatā hai mujh se ho kar
TuuTā ā.īna kahāñ 'aks kā ghar hotā hai
is qadar shoḳh hai tanhā.ī gale lag ke mujhe
kaan meñ kahtī hai ye vasl kidhar hotā hai
us ne chhoḌā hai mujhe tab ye huā hai mā'lūm
aaj ke daur meñ bhī zaḳhm-e-jigar hotā hai
jaane vaale ne palaT kar nahīñ dekhā 'sādiq'
ik zarā baat kā kis darja asar hotā hai
kisi jaanib bhi mera ‘azm-e-safar hota hai
dhyan mein ek faqat tera nagar hota hai
ab yahan rakhta hai har koi faqat kaam se kaam
ab kahan koi bhi manzur-e-nazar hota hai
jo bhi aata hai guzar jata hai mujh se ho kar
TuTa aaina kahan 'aks ka ghar hota hai
is qadar shoKH hai tanhai gale lag ke mujhe
kan mein kahti hai ye wasl kidhar hota hai
us ne chhoDa hai mujhe tab ye hua hai ma'lum
aaj ke daur mein bhi zaKHm-e-jigar hota hai
jaane wale ne palaT kar nahin dekha 'sadiq'
ek zara baat ka kis darja asar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.