kisi jalwa-gah-e-majaz mein kahin rah gaya
kisī jalva-gāh-e-majāz meñ kahīñ rah gayā
maiñ tire badan kī namāz meñ kahīñ rah gayā
ka.ī aur farz bhī the jabīn-e-nahīf par
mirā zauq ijz-o-niyāz meñ kahīñ rah gayā
jahāñ manziloñ kī lapak thī chashm-e-fareb meñ
maiñ unhī nasheb-o-farāz meñ kahīñ rah gayā
mire harf-e-girya-kunāñ meñ aisī girah paḌī
mirā naġhma soz-e-hijāz meñ kahīñ rah gayā
paḌī aisī zarb-e-gumān raḳht-e-yaqīn par
ki maiñ rāh-e-dūr-darāz meñ kahīñ rah gayā
mujhe niiñd aa.egī ḳhvāb-gāh-e-jahāñ meñ kyā
mirā dil to mahfil-e-nāz meñ kahīñ rah gayā
kisī lab pe gosha-nashīñ thā harf-e-sahar mirā
jo navā-e-shab ke gudāz meñ kahīñ rah gayā
mujhe apnī koī ḳhabar na thī tire dhyān meñ
mirā ishq ḳhū-e-ayāz meñ kahīñ rah gayā
maiñ magan thā aisā jahān-e-ġham ke tavāf meñ
mirā sab junūñ tag-o-tāz meñ kahīñ rah gayā
vo jo ek va.ada-e-shauq thā tirī diid kā
kisī chashm-e-hīla-tarāz meñ kahīñ rah gayā
mire bhed ifshā hue na ujlat-e-vaqt se
maiñ navā-e-kun hī ke raaz meñ kahīñ rah gayā
kisi jalwa-gah-e-majaz mein kahin rah gaya
main tere badan ki namaz mein kahin rah gaya
kai aur farz bhi the jabin-e-nahif par
mera zauq ijz-o-niyaz mein kahin rah gaya
jahan manzilon ki lapak thi chashm-e-fareb mein
main unhi nasheb-o-faraaz mein kahin rah gaya
mere harf-e-girya-kunan mein aisi girah paDi
mera naghma soz-e-hijaz mein kahin rah gaya
paDi aisi zarb-e-guman raKHt-e-yaqin par
ki main rah-e-dur-daraaz mein kahin rah gaya
mujhe nind aaegi KHwab-gah-e-jahan mein kya
mera dil to mahfil-e-naz mein kahin rah gaya
kisi lab pe gosha-nashin tha harf-e-sahar mera
jo nawa-e-shab ke gudaz mein kahin rah gaya
mujhe apni koi KHabar na thi tere dhyan mein
mera ishq KHu-e-ayaz mein kahin rah gaya
main magan tha aisa jahan-e-gham ke tawaf mein
mera sab junun tag-o-taz mein kahin rah gaya
wo jo ek wada-e-shauq tha teri did ka
kisi chashm-e-hila-taraaz mein kahin rah gaya
mere bhed ifsha hue na ujlat-e-waqt se
main nawa-e-kun hi ke raaz mein kahin rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.