kisi junun ke satae ko kaun chhoDta hai
kisī junūñ ke satā.e ko kaun chhoḌtā hai
janāb-e-dil ke harā.e ko kaun chhoḌtā hai
maiñ terī samt jo lapkā lapaknā bantā thā
ki taptī dhuup meñ saa.e ko kaun chhoḌtā hai
vo vaqt ho ki muqaddar zamāna ho ki falak
kisī nazar ke girā.e ko kaun chhoḌtā hai
maiñ ek aañkh se niklā huuñ kis tarah mat pūchh
ḳhushī se apnī sarā.e ko kaun chhoḌtā hai
tujhe kahā nahīñ kuchh to ise sharāfat jaan
vagarna haath meñ aa.e ko kaun chhoḌtā hai
kisi junun ke satae ko kaun chhoDta hai
janab-e-dil ke harae ko kaun chhoDta hai
main teri samt jo lapka lapakna banta tha
ki tapti dhup mein sae ko kaun chhoDta hai
wo waqt ho ki muqaddar zamana ho ki falak
kisi nazar ke girae ko kaun chhoDta hai
main ek aankh se nikla hun kis tarah mat puchh
KHushi se apni sarae ko kaun chhoDta hai
tujhe kaha nahin kuchh to ise sharafat jaan
wagarna hath mein aae ko kaun chhoDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.