kisi ka ghar kisi ka dil jala hai
kisī kā ghar kisī kā dil jalā hai
mohabbat meñ to ye hotā rahā hai
añdheroñ ne bhī aisā khel khelā
ujālā bhī añdherā ho gayā hai
vo apnā mānte haiñ phir ye kyā hai
hamāre beach ye kaisī ḳhalā hai
zarā us kī siyāsat bhī to dekho
vafā ke naam par kartā jafā hai
harā kaise sakegā us ko koī
vo jis kī sā.ebāñ maañ kī davā hai
adab jis ne kiyā apne baḌoñ kā
vo chhoTā ho ke bhī kitnā baḌā hai
koī 'salmān' kyā jānegā us ko
jhukī palkoñ meñ un kī ik nasha hai
kisi ka ghar kisi ka dil jala hai
mohabbat mein to ye hota raha hai
andheron ne bhi aisa khel khela
ujala bhi andhera ho gaya hai
wo apna mante hain phir ye kya hai
hamare beach ye kaisi KHala hai
zara us ki siyasat bhi to dekho
wafa ke nam par karta jafa hai
hara kaise sakega us ko koi
wo jis ki saeban man ki dawa hai
adab jis ne kiya apne baDon ka
wo chhoTa ho ke bhi kitna baDa hai
koi 'salman' kya jaanega us ko
jhuki palkon mein un ki ek nasha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.