kisi ka jism hua jaan-o-dil kisi ke hue
kisī kā jism huā jān-o-dil kisī ke hue
hazār TukḌe mirī ek zindagī ke hue
badal sakā na koī apnī qismatoñ kā nizām
jo tū ne chāhā vahī haal zindagī ke hue
jo saare shahr ke patthar liye thā dāman meñ
tamām shīshe taraf-dār bas usī ke hue
badalte vaqt ne taqsīm kar diyā mujh ko
the mere ḳhvāb jo tere vahī kisī ke hue
tamām umr rahī hai muḳhālifat jis se
'ra.īs' ham bhī taraf-dār phir usī ke hue
kisi ka jism hua jaan-o-dil kisi ke hue
hazar TukDe meri ek zindagi ke hue
badal saka na koi apni qismaton ka nizam
jo tu ne chaha wahi haal zindagi ke hue
jo sare shahr ke patthar liye tha daman mein
tamam shishe taraf-dar bas usi ke hue
badalte waqt ne taqsim kar diya mujh ko
the mere KHwab jo tere wahi kisi ke hue
tamam umr rahi hai muKHalifat jis se
'rais' hum bhi taraf-dar phir usi ke hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.