kisi ka KHair kya kahun ki dhyan tak nahin raha
kisī kā ḳhair kyā kahūñ ki dhyān tak nahīñ rahā
maiñ apne aap par bhī mehrbān tak nahīñ rahā
us ek lab ke mo'jize meñ kyā ginā.uñgā tujhe
ye dekh mere zaḳhm kā nishān tak nahīñ rahā
tamām shahr jis se milnā chāhtā thā un dinoñ
maiñ us se yuuñ milā ki us ko jaan tak nahīñ rahā
zarā sī baat par ḳhafā huā thā aur kyā kahūñ
so haath joḌne pe bhī vo maan tak nahīñ rahā
tumhārā hijr ek raat paañv se lipaT gayā
maiñ apne ghar meñ sub.h kī azaan tak nahīñ rahā
paḌe paḌe yahīñ pe Dher ho na jaa.e ye badan
maiñ ḳhaak apnī rāstoñ pe chhān tak nahīñ rahā
kisi ka KHair kya kahun ki dhyan tak nahin raha
main apne aap par bhi mehrban tak nahin raha
us ek lab ke mo'jize mein kya ginaunga tujhe
ye dekh mere zaKHm ka nishan tak nahin raha
tamam shahr jis se milna chahta tha un dinon
main us se yun mila ki us ko jaan tak nahin raha
zara si baat par KHafa hua tha aur kya kahun
so hath joDne pe bhi wo man tak nahin raha
tumhaara hijr ek raat panw se lipaT gaya
main apne ghar mein subh ki azan tak nahin raha
paDe paDe yahin pe Dher ho na jae ye badan
main KHak apni raston pe chhan tak nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.