kisi ka KHat hai ya ye ghazal hai ye kaisa parcha paDa hua hai
kisi ka KHat hai ya ye ghazal hai ye kaisa parcha paDa hua hai
Abu Leveeza Ali
MORE BYAbu Leveeza Ali
kisī kā ḳhat hai yā ye ġhazal hai ye kaisā parcha paḌā huā hai
gulāl se lab bane haiñ is meñ kitāb chehra banā huā hai
nigāh us kī hai jhiil jaisī kamān jaisī bhavoñ ke nīche
to surḳh hoñToñ ke ek jānib bhī til kā pahra lagā huā hai
haañ sabz qindīl jal rahī hai balā kī surḳhī ubal rahī hai
adā se palkeñ jhukī huiiñ haiñ hayā kā āñchal paḌā huā hai
lo ab hamārī saqīl āñkheñ qadīm rastoñ pe chal paḌī haiñ
vafā ke khañDar se kuchh pare hī hamārā malba paḌā huā hai
safed bāloñ ke pīchhe apnī javān umrī ke pal nahīñ haiñ
hai ahd-e-tiflī kā ek būḌhā jo laḌkhaḌātā khaḌā huā hai
bahut hasīñ hai ye sachchā motī jo rañg se is ke munsalik hai
magar use ye ḳhabar nahīñ hai hamārā aañsū juḌā huā hai
hai chaap us kī hamārī dhaḌkan jo dil meñ dhak dhak lagī huī hai
firāq us kā visāl hī hai vo ban ke dhaḌkā lagā huā hai
bahut sañvārā musavviroñ ne bahut se Daale haiñ rañg is meñ
magar ye sūrat hai merī sūrat so rañg is kā uḌā huā hai
kisi ka KHat hai ya ye ghazal hai ye kaisa parcha paDa hua hai
gulal se lab bane hain is mein kitab chehra bana hua hai
nigah us ki hai jhil jaisi kaman jaisi bhawon ke niche
to surKH honTon ke ek jaanib bhi til ka pahra laga hua hai
han sabz qindil jal rahi hai bala ki surKHi ubal rahi hai
ada se palken jhuki huin hain haya ka aanchal paDa hua hai
lo ab hamari saqil aankhen qadim raston pe chal paDi hain
wafa ke khanDar se kuchh pare hi hamara malba paDa hua hai
safed baalon ke pichhe apni jawan umri ke pal nahin hain
hai ahd-e-tifli ka ek buDha jo laDkhaData khaDa hua hai
bahut hasin hai ye sachcha moti jo rang se is ke munsalik hai
magar use ye KHabar nahin hai hamara aansu juDa hua hai
hai chap us ki hamari dhaDkan jo dil mein dhak dhak lagi hui hai
firaq us ka visal hi hai wo ban ke dhaDka laga hua hai
bahut sanwara musawwiron ne bahut se Dale hain rang is mein
magar ye surat hai meri surat so rang is ka uDa hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.