kisi ka nam jo leta hun aah karta hun
kisī kā naam jo letā huuñ aah kartā huuñ
tamām raat yahī ik gunāh kartā huuñ
nigāh-e-barq kā ehsān kab gavārā hai
maiñ ḳhud hī apnā nasheman tabāh kartā huuñ
ye rabt-e-sho.ala-o-shabnam nahīñ to phir kyā hai
maiñ ashk-e-ġham kī tabassum kī chaah kartā huuñ
tū mai-kashī se mujhe roktā hai kyoñ zāhid
maiñ imtiyāz-e-safed-o-siyāh kartā huuñ
dikhā.ī detā hai dhuñdlā sā hasratoñ kā mazār
maiñ ahd-e-rafta pe jab bhī nigāh kartā huuñ
tumhāre husn kī daulat se bhiik le le kar
dil-e-faqīr ko maiñ bādshāh kartā huuñ
kisī ke lutf kā hāmil nahīñ mazāq 'hayāt'
isī liye maiñ sitam se nibāh kartā huuñ
kisi ka nam jo leta hun aah karta hun
tamam raat yahi ek gunah karta hun
nigah-e-barq ka ehsan kab gawara hai
main KHud hi apna nasheman tabah karta hun
ye rabt-e-shoala-o-shabnam nahin to phir kya hai
main ashk-e-gham ki tabassum ki chah karta hun
tu mai-kashi se mujhe rokta hai kyon zahid
main imtiyaz-e-safed-o-siyah karta hun
dikhai deta hai dhundla sa hasraton ka mazar
main ahd-e-rafta pe jab bhi nigah karta hun
tumhaare husn ki daulat se bhik le le kar
dil-e-faqir ko main baadshah karta hun
kisi ke lutf ka hamil nahin mazaq 'hayat'
isi liye main sitam se nibah karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.