kisi ka shisha-e-dil toD kar jaya nahin karte
kisī kā shīsha-e-dil toḌ kar jaayā nahīñ karte
makīn-e-dil makāñ ko is tarah Dhāyā nahīñ karte
tum apne āñsūoñ ko rok lete apnī palkoñ par
kisī kā rāz-e-ġham ġhairoñ se khulvāyā nahīñ karte
ham ahl-e-dil haiñ dastūr-e-vafā se ḳhuub vāqif haiñ
taḌap kar jaan de dete haiñ taḌpāyā nahīñ karte
ye ġham to ārzūoñ kī hasīñ sauġhāt hai ai dil
to phir hangāma-hā-e-ġham se ghabrāyā nahīñ karte
kisī kā rāz-e-dard-e-dil chhupānā shart-e-ulfat hai
to us ko dekh kar mahfil meñ chhup jaayā nahīñ karte
usī be-dard kā ġham had se jab baḌh jaa.e hai ai dil
to sher az-ḳhud chale aate haiñ ham laayā nahīñ karte
na khul jaa.eñ kahīñ asrār-e-sar-basta sar-e-mahfil
ham un kī anjuman meñ is liye jaayā nahīñ karte
shamīm aao tumheñ ādāb-e-gulshan ham batāte haiñ
nikal kar barg-e-gul se gul ko Thukrāyā nahīñ karte
'sahar' kā dil hai ye bāzīcha-e-tiflāñ nahīñ pyāre
khilaune se tamannāoñ ko bahlāyā nahīñ karte
kisi ka shisha-e-dil toD kar jaya nahin karte
makin-e-dil makan ko is tarah Dhaya nahin karte
tum apne aansuon ko rok lete apni palkon par
kisi ka raaz-e-gham ghairon se khulwaya nahin karte
hum ahl-e-dil hain dastur-e-wafa se KHub waqif hain
taDap kar jaan de dete hain taDpaya nahin karte
ye gham to aarzuon ki hasin saughat hai ai dil
to phir hangama-ha-e-gham se ghabraya nahin karte
kisi ka raaz-e-dard-e-dil chhupana shart-e-ulfat hai
to us ko dekh kar mahfil mein chhup jaya nahin karte
usi be-dard ka gham had se jab baDh jae hai ai dil
to sher az-KHud chale aate hain hum laya nahin karte
na khul jaen kahin asrar-e-sar-basta sar-e-mahfil
hum un ki anjuman mein is liye jaya nahin karte
shamim aao tumhein aadab-e-gulshan hum batate hain
nikal kar barg-e-gul se gul ko Thukraya nahin karte
'sahar' ka dil hai ye bazicha-e-tiflan nahin pyare
khilaune se tamannaon ko bahlaya nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.