kisi ka yun to hua kaun umr-bhar phir bhi
kisī kā yuuñ to huā kaun umr-bhar phir bhī
na jaane kyuuñ thā yaqīñ tere pyaar par phir bhī
hazār baar mire dil ko us ne Thukrāyā
mujhe hai us se umīd-e-vafā magar phir bhī
tumhāre naqsh-e-qadam par gayā maiñ sar-ba-sujūd
kisī ke aage jhukāyā na thā ye sar phir bhī
maiñ us kī chaah meñ donoñ jahān chhoḌ chalā
vo bevafā na mirā ho sakā magar phir bhī
tumhārī bazm se nikle to phir milī na amaañ
bhaTakte phirte rahe garche dar-ba-dar phir bhī
na tū hī tū vo rahā aur na maiñ hī maiñ vo rahā
hai naqsh naam tirā mere qalb par phir bhī
maiñ apnī jaan bhī us par luTā ke dekh chukā
use aziiz rahā mujh se māl-o-zar phir bhī
maiñ tujh ko chhoḌ ke sar phoḌne kahāñ jā.ūñ
mire nasīb meñ hai terā sañg-e-dar phir bhī
banā sake na tire dil meñ apnā ghar 'ārif'
luTā diyā tirī chāhat meñ apnā ghar phir bhī
kisi ka yun to hua kaun umr-bhar phir bhi
na jaane kyun tha yaqin tere pyar par phir bhi
hazar bar mere dil ko us ne Thukraya
mujhe hai us se umid-e-wafa magar phir bhi
tumhaare naqsh-e-qadam par gaya main sar-ba-sujud
kisi ke aage jhukaya na tha ye sar phir bhi
main us ki chah mein donon jahan chhoD chala
wo bewafa na mera ho saka magar phir bhi
tumhaari bazm se nikle to phir mili na aman
bhaTakte phirte rahe garche dar-ba-dar phir bhi
na tu hi tu wo raha aur na main hi main wo raha
hai naqsh nam tera mere qalb par phir bhi
main apni jaan bhi us par luTa ke dekh chuka
use aziz raha mujh se mal-o-zar phir bhi
main tujh ko chhoD ke sar phoDne kahan jaun
mere nasib mein hai tera sang-e-dar phir bhi
bana sake na tere dil mein apna ghar 'arif'
luTa diya teri chahat mein apna ghar phir bhi
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 154)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.