kisi ke ahd-e-tamanna mein hum jiye kitne
kisī ke ahd-e-tamannā meñ ham jiye kitne
hamāre sāmne TuuTe haiñ aa.ine kitne
na pūchh ham se akārat huī javānī bhī
ki tere hijr meñ kaaTe haiñ rat-jage kitne
mire nasīb ke taare to bujh ga.e haiñ magar
tire nasīb ke taare chamak uThe kitne
mire halīf bhī sab mil ga.e harīfoñ se
ye mere yāroñ ne mujh ko haiñ dukh diye kitne
amīr-e-shahr kī thoḌī sī kaj-ravī ke sabab
ġharīb-e-shahr ne dekhe haiñ hādse kitne
kisi ke ahd-e-tamanna mein hum jiye kitne
hamare samne TuTe hain aaine kitne
na puchh hum se akarat hui jawani bhi
ki tere hijr mein kaTe hain rat-jage kitne
mere nasib ke tare to bujh gae hain magar
tere nasib ke tare chamak uThe kitne
mere halif bhi sab mil gae harifon se
ye mere yaron ne mujh ko hain dukh diye kitne
amir-e-shahr ki thoDi si kaj-rawi ke sabab
gharib-e-shahr ne dekhe hain hadse kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.