Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke bare mein din-raat sochna kya hai

Ajay Agyat

kisi ke bare mein din-raat sochna kya hai

Ajay Agyat

MORE BYAjay Agyat

    kisī ke baare meñ din-rāt sochnā kyā hai

    jo ishq karnā hai kar Daalo mas.ala kyā hai

    kise pata hai mohabbat intihā kyā hai

    ġham-e-hayāt se ḳhushiyoñ rābta kyā hai

    maiñ mutma.in huuñ jo ḳhud se to phir burā kyā hai

    kisī bhī shaḳhs se merā muqābla kyā hai

    jo apnī zaat se vāqif na ho sakā ab tak

    use jahāñ ke muta.alliq abhī pata kyā hai

    jo ḳhud-numā.ī tālib ho us se kyā milnā

    use hayāt ke baare meñ tajraba kyā hai

    zarā der ḳhalā meñ tavāf karne do

    zarā pata to chale us dā.era kyā hai

    yaqīn karnā hogā mujhe muqaddar par

    vagarna is ke sivā aur rāsta kyā hai

    ḳhud apne aap se lagne lagā hai Dar mujh ko

    koī batā.e to āḳhir mujhe huā kyā hai

    ye tarjuma hai 'agyāt' mere jīvan

    ye shā.erī mire ehsās ke sivā kyā hai

    kisi ke bare mein din-raat sochna kya hai

    jo ishq karna hai kar Dalo masala kya hai

    kise pata hai mohabbat ki intiha kya hai

    gham-e-hayat se KHushiyon ka rabta kya hai

    main mutmain hun jo KHud se to phir bura kya hai

    kisi bhi shaKHs se mera muqabla kya hai

    jo apni zat se waqif na ho saka ab tak

    use jahan ke mutalliq abhi pata kya hai

    jo KHud-numai ka talib ho us se kya milna

    use hayat ke bare mein tajraba kya hai

    zara si der KHala mein tawaf karne do

    zara pata to chale us ka daera kya hai

    yaqin karna hi hoga mujhe muqaddar par

    wagarna is ke siwa aur rasta kya hai

    KHud apne aap se lagne laga hai Dar mujh ko

    koi batae to aaKHir mujhe hua kya hai

    ye tarjuma hi hai 'agyat' mere jiwan ka

    ye shaeri mere ehsas ke siwa kya hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now