kisi ke chehra-e-zartar ke sabab mil jaen
kisī ke chehra-e-zartār ke sabab mil jaa.eñ
ye sang-e-hijr haTe aur māh-e-lab mil jaa.eñ
kabhī mile na talab par tirī udāsī bhī
kabhī ye sābit-o-sayyār be-talab mil jaa.eñ
mire chhalakne se bhar jaa.e kā.enāt kā jaam
mire piyāla-e-dil meñ ye roz-o-shab mil jaa.eñ
vahāñ dimāġh-e-takallum yahāñ ġhurūr-e-suḳhan
ajab nahīñ jo kahīñ ham se be-adab mil jaa.eñ
jahāñ-panāh se isrār-e-bāryābī kyā
ho un ko jab bhī farāġhat vo ham se tab mil jaa.eñ
zamīñ kā lams-e-mulā.em falak kā ā.īna
maiñ apnī samt jo palTūñ to sab ke sab mil jaa.eñ
koī pukāre hameñ kahkashāñ kī vus.at se
koī kahe ki chalo yūñhī be-talab mil jaa.eñ
kisi ke chehra-e-zartar ke sabab mil jaen
ye sang-e-hijr haTe aur mah-e-lab mil jaen
kabhi mile na talab par teri udasi bhi
kabhi ye sabit-o-sayyar be-talab mil jaen
mere chhalakne se bhar jae kaenat ka jam
mere piyala-e-dil mein ye roz-o-shab mil jaen
wahan dimagh-e-takallum yahan ghurur-e-suKHan
ajab nahin jo kahin hum se be-adab mil jaen
jahan-panah se israr-e-baryabi kya
ho un ko jab bhi faraghat wo hum se tab mil jaen
zamin ka lams-e-mulaem falak ka aaina
main apni samt jo palTun to sab ke sab mil jaen
koi pukare hamein kahkashan ki wusat se
koi kahe ki chalo yunhi be-talab mil jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.