kisi ke chehre ki tabindagi ko kya kahiye
kisi ke chehre ki tabindagi ko kya kahiye
Khurshid Khawar Amrohvi
MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi
kisī ke chehre kī tābindagī ko kyā kahiye
phir us pe zulf kī us barhamī ko kyā kahiye
ye kyā jagah hai ki pursān-e-hāl koī nahīñ
yahāñ ke logoñ kī is be-ruḳhī ko kyā kahiye
nuqūsh-e-husn ubharte rahe haiñ zehn meñ kyoñ
tasavvurāt kī is āzarī ko kyā kahiye
na ho sukūn to phir lutf-e-zindagī kyā hai
jahāñ sukūn ho us zindagī ko kyā kahiye
nahīñ hai merī nigāhoñ ko tāb-e-nazzāra
kisī ke husn kī us ḳhīrgī ko kyā kahiye
ḳhud apne des meñ pāmāl ho gayā hai koī
chaman meñ phuul kī be-hurmatī ko kyā kahiye
kalī ko kar hī diyā be-hijāb ai 'ḳhāvar'
nasīm-e-sub.h kī be-rah-ravī ko kyā kahiye
kisi ke chehre ki tabindagi ko kya kahiye
phir us pe zulf ki us barhami ko kya kahiye
ye kya jagah hai ki pursan-e-haal koi nahin
yahan ke logon ki is be-ruKHi ko kya kahiye
nuqush-e-husn ubharte rahe hain zehn mein kyon
tasawwuraat ki is aazari ko kya kahiye
na ho sukun to phir lutf-e-zindagi kya hai
jahan sukun ho us zindagi ko kya kahiye
nahin hai meri nigahon ko tab-e-nazzara
kisi ke husn ki us KHirgi ko kya kahiye
KHud apne des mein pamal ho gaya hai koi
chaman mein phul ki be-hurmati ko kya kahiye
kali ko kar hi diya be-hijab ai 'KHawar'
nasim-e-subh ki be-rah-rawi ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.