kisi ke dard se wo aashna hota to kya hota
kisī ke dard se vo āshnā hotā to kyā hotā
kisī ke dil meñ gar ḳhauf-e-ḳhudā hotā to kyā hotā
ḳhushī rah kar sadā mujh se vo hukm-e-qatl detā hai
ḳhudā jaane agar vo but ḳhafā hotā to kyā hotā
abhī banda hai vo is par bhī itnī zulm-rānī hai
ḳhudāvandā agar banda ḳhudā hotā to kyā hotā
mujhe kuchh maut kī parvā nahīñ ai dāvar-e-mahshar
yatīmoñ kā bhī koī aasrā hotā to kyā hotā
abhī mehñdī lagā.ī thī abhī ḳhuuñ kar diyā merā
agar rang-e-hinā 'asġhar' chaḌhā hotā to kyā hotā
kisi ke dard se wo aashna hota to kya hota
kisi ke dil mein gar KHauf-e-KHuda hota to kya hota
KHushi rah kar sada mujh se wo hukm-e-qatl deta hai
KHuda jaane agar wo but KHafa hota to kya hota
abhi banda hai wo is par bhi itni zulm-rani hai
KHudawanda agar banda KHuda hota to kya hota
mujhe kuchh maut ki parwa nahin ai dawar-e-mahshar
yatimon ka bhi koi aasra hota to kya hota
abhi mehndi lagai thi abhi KHun kar diya mera
agar rang-e-hina 'asghar' chaDha hota to kya hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.