kisi ke dil mein sozish ho rahi hai
kisī ke dil meñ sozish ho rahī hai
agar merī satā.ish ho rahī hai
koī mere liye mahv-e-duā hai
kahīñ sāzish pe sāzish ho rahī hai
hamīñ par kyoñ zamāne-bhar kī āḳhir
har ik jānib se bandish ho rahī hai
mire ahbāb parda Dālte haiñ
barābar mujh se laġhzish ho rahī hai
abhī to ishq kī ye ibtidā hai
tirī āñkhoñ se bārish ho rahī hai
kisī kī yaad meñ jaagī huī haiñ
mirī āñkhoñ meñ sozish ho rahī hai
laboñ par baat dil kī aa na paa.ī
nigāhoñ se guzārish ho rahī hai
ta.affun dekh kar shahroñ kā 'ajmal'
bayābānī kī ḳhvāhish ho rahī hai
kisi ke dil mein sozish ho rahi hai
agar meri sataish ho rahi hai
koi mere liye mahw-e-dua hai
kahin sazish pe sazish ho rahi hai
hamin par kyon zamane-bhar ki aaKHir
har ek jaanib se bandish ho rahi hai
mere ahbab parda Dalte hain
barabar mujh se laghzish ho rahi hai
abhi to ishq ki ye ibtida hai
teri aankhon se barish ho rahi hai
kisi ki yaad mein jagi hui hain
meri aankhon mein sozish ho rahi hai
labon par baat dil ki aa na pai
nigahon se guzarish ho rahi hai
taffun dekh kar shahron ka 'ajmal'
bayabani ki KHwahish ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.