kisi ke dil se utar kar kahan kahan na gaya
kisī ke dil se utar kar kahāñ kahāñ na gayā
maiñ ghar se niklā to Dar kar kahāñ kahāñ na gayā
mujhe kahīñ nahīñ jaanā thā bas guzarnā thā
tirī galī se guzar kar kahāñ kahāñ na gayā
havā se Tek lagā.ī to ḳhvāb bah nikle
maiñ aañkh niiñd se bhar kar kahāñ kahāñ na gayā
usī kā lams thā maqtal meñ mai-kade meñ kahīñ
vo ḳhushbuoñ meñ bikhar kar kahāñ kahāñ na gayā
huā qiyām havā meñ na rakh sakī hai zamīñ
maiñ āsmāñ se utar kar kahāñ kahāñ na gayā
badan se ruuh kī rag rag meñ 'ishq jā pahuñchā
ye dard ubhrā ubhar kar kahāñ kahāñ na gayā
tamām 'umr hī tadfīn-e-zindagī na huī
maiñ ḳhud ko kāñdhe pe dhar kar kahāñ kahāñ na gayā
kisi ke dil se utar kar kahan kahan na gaya
main ghar se nikla to Dar kar kahan kahan na gaya
mujhe kahin nahin jaana tha bas guzarna tha
teri gali se guzar kar kahan kahan na gaya
hawa se Tek lagai to KHwab bah nikle
main aankh nind se bhar kar kahan kahan na gaya
usi ka lams tha maqtal mein mai-kade mein kahin
wo KHushbuon mein bikhar kar kahan kahan na gaya
hua qiyam hawa mein na rakh saki hai zamin
main aasman se utar kar kahan kahan na gaya
badan se ruh ki rag rag mein 'ishq ja pahuncha
ye dard ubhra ubhar kar kahan kahan na gaya
tamam 'umr hi tadfin-e-zindagi na hui
main KHud ko kandhe pe dhar kar kahan kahan na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.