kisi ke dukh se na kar sukh kashid tauba kar
kisī ke dukh se na kar sukh kashīd tauba kar
ubhar na vaqt kā ban kar yazīd tauba kar
fasīl-e-zāt se bāhar nikal ki ye duniyā
tire bharam se hai mutlaq ba.iid tauba kar
nigāh-e-shauq ko jalve se yuuñ na rakh mahrūm
hai shirk jur.at-e-inkār-e-dīd tauba kar
ki nazm-e-mai-kada rindoñ kī taab lā na sake
baḌhā na tishnagī itnī shadīd tauba kar
jo nazm-o-nasr kā hai farq us ko qaa.em rakh
adab kī kar na yuuñ miTTī palīd tauba kar
jahān-e-nau meñ ajā.ib-gharoñ kī zīnat haiñ
tamām ġhāzī tamāmī shahīd tauba kar
najāt ke liye mohlat bachī hai kam ab aur
na kar zamīr kī bai.a-o-ḳharīd tauba kar
kisi ke dukh se na kar sukh kashid tauba kar
ubhar na waqt ka ban kar yazid tauba kar
fasil-e-zat se bahar nikal ki ye duniya
tere bharam se hai mutlaq baid tauba kar
nigah-e-shauq ko jalwe se yun na rakh mahrum
hai shirk jurat-e-inkar-e-did tauba kar
ki nazm-e-mai-kada rindon ki tab la na sake
baDha na tishnagi itni shadid tauba kar
jo nazm-o-nasr ka hai farq us ko qaem rakh
adab ki kar na yun miTTi palid tauba kar
jahan-e-nau mein ajaib-gharon ki zinat hain
tamam ghazi tamami shahid tauba kar
najat ke liye mohlat bachi hai kam ab aur
na kar zamir ki baia-o-KHarid tauba kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.