kisi ke hijr ko aise mana rahe the hum
kisī ke hijr ko aise manā rahe the ham
ghaḌī meñ vaqt ko ulTā ghumā rahe the ham
nahīñ thā yaad sabaq apnī zindagī kā hameñ
so imtihān kā parcha banā rahe the ham
kināre baiTh ke aañsū bahā ke aa.e the
nadī kī pyaas ko paanī pilā rahe the ham
kiyā ye jurm ki apne hī dil kī sunte the
yahī kaheñ ki ḳhud apnī sazā rahe the ham
ham us ke zulm ke baḌhne ke intizār meñ the
tabhī to zabt kī quvvat baḌhā rahe the ham
lagā ke ek Thahākā usī ke zer-e-asar
bas apne zaḳhm ko nīchā dikhā rahe the ham
ḳhud apne aap ko shānoñ pe le ke chalte the
ḳhud apne aap kā mātam manā rahe the ham
kisi ke hijr ko aise mana rahe the hum
ghaDi mein waqt ko ulTa ghuma rahe the hum
nahin tha yaad sabaq apni zindagi ka hamein
so imtihan ka parcha bana rahe the hum
kinare baiTh ke aansu baha ke aae the
nadi ki pyas ko pani pila rahe the hum
kiya ye jurm ki apne hi dil ki sunte the
yahi kahen ki KHud apni saza rahe the hum
hum us ke zulm ke baDhne ke intizar mein the
tabhi to zabt ki quwwat baDha rahe the hum
laga ke ek Thahaka usi ke zer-e-asar
bas apne zaKHm ko nicha dikha rahe the hum
KHud apne aap ko shanon pe le ke chalte the
KHud apne aap ka matam mana rahe the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.