kisi ke honT jab Dube sharab-e-arghawani mein
kisī ke hoñT jab Duube sharāb-e-arġhavānī meñ
huā mahsūs jaise aag lapkī sard paanī meñ
bahut dilchasp hai lekin abhī tak nā-mukammal hai
hamārā naam bhī likh do mohabbat kī kahānī meñ
karam kā shukriya lekin hameñ itnā batā do kyā
ḳhulūs-e-dil bhī shāmil hai tumhārī mehrbānī meñ
na dekho ḳhāmushī merī ġhalat-andāz nazroñ se
hazāroñ dard goyā haiñ mirī ik be-zabānī meñ
kabhī dil chiir kar niklā kabhī Tapkā nigāhoñ se
lahū meñ kis balā kā josh thā ‘ahd-e-javānī meñ
nahīñ kuchh boltīñ lekin inheñ be-kār mat samjho
nigāheñ kaam aatī haiñ diloñ kī tarjumānī meñ
kisī kā dil jale jis se kisī kī aañkh bhar aa.e
lagā do aag behtar hai 'kañval' us shādmānī meñ
kisi ke honT jab Dube sharab-e-arghawani mein
hua mahsus jaise aag lapki sard pani mein
bahut dilchasp hai lekin abhi tak na-mukammal hai
hamara nam bhi likh do mohabbat ki kahani mein
karam ka shukriya lekin hamein itna bata do kya
KHulus-e-dil bhi shamil hai tumhaari mehrbani mein
na dekho KHamushi meri ghalat-andaz nazron se
hazaron dard goya hain meri ek be-zabani mein
kabhi dil chir kar nikla kabhi Tapka nigahon se
lahu mein kis bala ka josh tha ‘ahd-e-jawani mein
nahin kuchh boltin lekin inhen be-kar mat samjho
nigahen kaam aati hain dilon ki tarjumani mein
kisi ka dil jale jis se kisi ki aankh bhar aae
laga do aag behtar hai 'kanwal' us shadmani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.