kisi ke hukm ki tamil karne wala hai
kisī ke hukm kī ta.amīl karne vaalā hai
vo apne lahje ko tabdīl karne vaalā hai
sunāne baiTh ga.e kis ko dard-o-ġham apnā
vo nuqte nuqte kī tafsīl karne vaalā hai
kisī ġharīb kī izzat se khelne vaalo
ḳhudā tumhārī bhī tazlīl karne vaalā hai
jo ḳhushk-o-tar ke mafāhīm se nahīñ vāqif
samundaroñ ko vahī jhiil karne vaalā hai
maiñ us ke saath bhalā kis tarah rahūñ 'zāhid'
jo baat baat pe tazlīl karne vaalā hai
kisi ke hukm ki tamil karne wala hai
wo apne lahje ko tabdil karne wala hai
sunane baiTh gae kis ko dard-o-gham apna
wo nuqte nuqte ki tafsil karne wala hai
kisi gharib ki izzat se khelne walo
KHuda tumhaari bhi tazlil karne wala hai
jo KHushk-o-tar ke mafahim se nahin waqif
samundaron ko wahi jhil karne wala hai
main us ke sath bhala kis tarah rahun 'zahid'
jo baat baat pe tazlil karne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.