kisi ke ishq mein KHud kho hawas baiThe hain
kisī ke ishq meñ ḳhud kho havās baiThe haiñ
unheñ ḳhabar hī nahīñ ham udaas baiThe haiñ
koī jatā.e unheñ jā ke nāma-bar ban ke
vo ek ham haiñ jo ab mahv-e-yās baiThe haiñ
nigāh-e-lutf-o-karam de ga.ī hameñ ġhaflat
jo muddatoñ se tire dar ke paas baiThe haiñ
ḳhabar nahīñ hai tumhīñ ko ai kaash gar hote
ki dil meñ le ke mohabbat kī aas baiThe haiñ
shamīm-e-gul kī tamanna hameñ zarūr nahīñ
mashām-e-jāñ meñ liye un kī yaas baiThe haiñ
balā-kashān-e-ġham-e-intizār haiñ ai 'prem'
nigāheñ dar pe lagī haiñ udaas baiThe haiñ
kisi ke ishq mein KHud kho hawas baiThe hain
unhen KHabar hi nahin hum udas baiThe hain
koi jatae unhen ja ke nama-bar ban ke
wo ek hum hain jo ab mahw-e-yas baiThe hain
nigah-e-lutf-o-karam de gai hamein ghaflat
jo muddaton se tere dar ke pas baiThe hain
KHabar nahin hai tumhin ko ai kash gar hote
ki dil mein le ke mohabbat ki aas baiThe hain
shamim-e-gul ki tamanna hamein zarur nahin
masham-e-jaan mein liye un ki yas baiThe hain
bala-kashan-e-gham-e-intizar hain ai 'prem'
nigahen dar pe lagi hain udas baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.