Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ke ishq mein raston ki dhul ho gae hain

Ali Arman

kisi ke ishq mein raston ki dhul ho gae hain

Ali Arman

MORE BYAli Arman

    kisī ke ishq meñ rastoñ dhuul ho ga.e haiñ

    ḳhudā shukr ki paise vasūl ho ga.e haiñ

    janāb-e-hijr ne qat'-o-burīd aisī

    ki khīñch-tān ke ḳhud ko qubūl ho ga.e haiñ

    kabhī vo aatā thā milne hameñ jahāñ chhup kar

    ham us mazār qabroñ ke phuul ho ga.e haiñ

    agar vo chāñd mile to hamārī jānib se

    use batānā sitāre vasūl ho ga.e haiñ

    chahak uThā hai achānak chaman udāsī

    charāġh chāñd huā zaḳhm phuul ho ga.e haiñ

    vo log tere liye jin ko radd kiyā ham ne

    sunā hai aaj vo tujh ko qubūl ho ga.e haiñ

    kabhī jo tāb-o-tamannā university the

    ab ek gaañv ujḌā schōl ho ga.e haiñ

    kahāñ se aatī hai 'armān' mere sher lahr

    sunā to ye thā ki saare nuzūl ho ga.e haiñ

    kisi ke ishq mein raston ki dhul ho gae hain

    KHuda ka shukr ki paise wasul ho gae hain

    janab-e-hijr ne qat'-o-burid ki aisi

    ki khinch-tan ke KHud ko qubul ho gae hain

    kabhi wo aata tha milne hamein jahan chhup kar

    hum us mazar ki qabron ke phul ho gae hain

    agar wo chand mile to hamari jaanib se

    use batana sitare wasul ho gae hain

    chahak uTha hai achanak chaman udasi ka

    charagh chand hua zaKHm phul ho gae hain

    wo log tere liye jin ko radd kiya hum ne

    suna hai aaj wo tujh ko qubul ho gae hain

    kabhi jo tab-o-tamanna ki uniwersity the

    ab ek ganw ka ujDa school ho gae hain

    kahan se aati hai 'arman' mere sher ki lahr

    suna to ye tha ki sare nuzul ho gae hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now