kisi ke KHwab ko ehsas se bandha hua hai
kisī ke ḳhvāb ko ehsās se bāñdhā huā hai
bahut puḳhta bahut hī paas se bāñdhā huā hai
hamāre taḳht ko mashrūt kar rakkhā hai us ne
hamāre taaj ko ban-bās se bāñdhā huā hai
siyāhī umr bhar mere ta.āqub meñ rahegī
ki maiñ ne jism ko qirtās se bāñdhā huā hai
mire isbāt kī chābī ko apne paas rakh kar
mire inkār ko ehsās se bāñdhā huā hai
hamāre ba.ad in ābādiyoñ kī ḳhair kiijo
samundar ham ne apnī pyaas se bāñdhā huā hai
sajā rakkhī hai us ne apnī ḳhātir ek masnad
mire āfāq ko anfās se bāñdhā huā hai
ajab pahre mire afkār par rakkhe haiñ 'ḳhālid'
ajab khaTkā mire ehsās se bāñdhā huā hai
kisi ke KHwab ko ehsas se bandha hua hai
bahut puKHta bahut hi pas se bandha hua hai
hamare taKHt ko mashrut kar rakkha hai us ne
hamare taj ko ban-bas se bandha hua hai
siyahi umr bhar mere taaqub mein rahegi
ki main ne jism ko qirtas se bandha hua hai
mere isbaat ki chabi ko apne pas rakh kar
mere inkar ko ehsas se bandha hua hai
hamare baad in aabaadiyon ki KHair kijo
samundar hum ne apni pyas se bandha hua hai
saja rakkhi hai us ne apni KHatir ek masnad
mere aafaq ko anfas se bandha hua hai
ajab pahre mere afkar par rakkhe hain 'KHalid'
ajab khaTka mere ehsas se bandha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.