kisi ke KHwab se baqi na bedari se qaem hai
kisī ke ḳhvāb se baaqī na bedārī se qaa.em hai
jahān-e-dard bas merī adā-kārī se qaa.em hai
zabāñ se kuchh nahīñ kahte so dil ko haul aatā hai
ki ye shahr-e-havas kis kī dil-āzārī se qaa.em hai
jahāñ meñ be-hunar logoñ ko koī kaise samjhā.e
ki ye duniyā abhī tak kār-e-be-kārī se qaa.em hai
ḳhizāñ ke giit to ham log kab se gaate aa.e haiñ
fanā kā ḳhauf phir kis kī jahāñ-dārī se qaa.em hai
ruḳh-e-mahtāb se kuchh bhī ayaañ hotā rahe lekin
ye kārobār-e-duniyā sirf ayyārī se qaa.em hai
kisi ke KHwab se baqi na bedari se qaem hai
jahan-e-dard bas meri ada-kari se qaem hai
zaban se kuchh nahin kahte so dil ko haul aata hai
ki ye shahr-e-hawas kis ki dil-azari se qaem hai
jahan mein be-hunar logon ko koi kaise samjhae
ki ye duniya abhi tak kar-e-be-kari se qaem hai
KHizan ke git to hum log kab se gate aae hain
fana ka KHauf phir kis ki jahan-dari se qaem hai
ruKH-e-mahtab se kuchh bhi ayan hota rahe lekin
ye karobar-e-duniya sirf ayyari se qaem hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.