kisi ke ru-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai
kisī ke rū-e-ġham-zada pe jab kabhī nazar ga.ī
ye merā dil taḌap uThā yā merī aañkh bhar ga.ī
hamārī umr-e-rafta kyā malūl kyā shagufta kyā
bhalī thī yā burī thī jo guzar ga.ī guzar ga.ī
vafā ke ek moḌ par gayā thā koī chhoḌ kar
hayāt jaise bas usī maqām par Thahar ga.ī
kamāl ḳhadd-o-ḳhāl the siyah ḳhamīda baal the
vo tamkanat ai sāhib-e-jamāl ab kidhar ga.ī
jo rāh-rau haiñ kam-nazar safar bhī un kā kyā safar
vahī hai un kī had jahāñ tak un kī rahguzar ga.ī
balā kī saḳht jaan thī zamīñ pe āsmān thī
vahī ye qaum hai adū kī sarzanish se mar ga.ī
ujaḌ gayā thā gulsitāñ ba-dast-e-mausam-e-ḳhizāñ
so phir bahār aa ga.ī kalī kalī sañvar ga.ī
kisi ke ru-e-gham-zada pe jab kabhi nazar gai
ye mera dil taDap uTha ya meri aankh bhar gai
hamari umr-e-rafta kya malul kya shagufta kya
bhali thi ya buri thi jo guzar gai guzar gai
wafa ke ek moD par gaya tha koi chhoD kar
hayat jaise bas usi maqam par Thahar gai
kamal KHadd-o-KHal the siyah KHamida baal the
wo tamkanat ai sahib-e-jamal ab kidhar gai
jo rah-rau hain kam-nazar safar bhi un ka kya safar
wahi hai un ki had jahan tak un ki rahguzar gai
bala ki saKHt jaan thi zamin pe aasman thi
wahi ye qaum hai adu ki sarzanish se mar gai
ujaD gaya tha gulsitan ba-dast-e-mausam-e-KHizan
so phir bahaar aa gai kali kali sanwar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.