kisi ke sath bhi usne wafa nibhai kya
kisī ke saath bhī us ne vafā nibhā.ī kyā
bas is savāl pe detā rahūñ duhā.ī kyā
jise na hosh hai ḳhud kā na fikr duniyā kī
to us ko sochiye parvāh-e-jag-hañsā.ī kyā
ab āsmān mile yā mile qafas ham ko
vo saath hoñ to hameñ qaid kyā rihā.ī kyā
unhoñ ne ḳhat nahīñ bhejā pa ye batā qāsid
unheñ hamārī kabhī yaad bhī na aa.ī kyā
bujhī bujhī sī tabī.at hai kyoñ mirī yaaro
unhoñ ne phir mirī jhūTī qasam uThā.ī kyā
tamām un ke bahāne haiñ 'rāz' varna vo
jab aa rahe haiñ to phir june kyā july kyā
kisi ke sath bhi us ne wafa nibhai kya
bas is sawal pe deta rahun duhai kya
jise na hosh hai KHud ka na fikr duniya ki
to us ko sochiye parwah-e-jag-hansai kya
ab aasman mile ya mile qafas hum ko
wo sath hon to hamein qaid kya rihai kya
unhon ne KHat nahin bheja pa ye bata qasid
unhen hamari kabhi yaad bhi na aai kya
bujhi bujhi si tabiat hai kyon meri yaro
unhon ne phir meri jhuTi qasam uThai kya
tamam un ke bahane hain 'raaz' warna wo
jab aa rahe hain to phir june kya july kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.