kisi ke shauq ka mara hua hai
kisī ke shauq kā maarā huā hai
parinda āsmāñ se jo girā hai
mirī āñkhoñ ke saare ḳhvāb le lo
zamāne meñ bhalā ab kyā rahā hai
akelā vo nahīñ uljhā hai mujh se
mirā maiñ bhī bahut uljhā huā hai
havelī kaise ujḌī kyā batā.ūñ
mirī āñkhoñ meñ manzar ḳhauf kā hai
chalo ab niiñd aa.egī sukūñ kī
asāsa zindagī kā luT chukā hai
kisi ke shauq ka mara hua hai
parinda aasman se jo gira hai
meri aankhon ke sare KHwab le lo
zamane mein bhala ab kya raha hai
akela wo nahin uljha hai mujh se
mera main bhi bahut uljha hua hai
haweli kaise ujDi kya bataun
meri aankhon mein manzar KHauf ka hai
chalo ab nind aaegi sukun ki
asasa zindagi ka luT chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.