kisi ke tir-e-nazar ka ye dil nishana hua
kisī ke tīr-e-nazar kā ye dil nishānā huā
lo un kā ab to ḳhayāloñ meñ ānā-jānā huā
ye kaun joḌ rahā hai uThā ke har TukḌā
ke mere dil ko to TuuTe hue zamānā huā
ki vaqt-e-nazā.a nikaltī hai ruuh jis tarah
vo mere jism se is tarah se ravānā huā
vo is qadar mirī āñkhoñ ko de gayā paanī
ki sard rātoñ meñ ruḳhsār ko nahānā huā
jo is meñ aaya thā vo kyā dahaktā sūraj thā
sulag ke ḳhaak mire dil kā āshiyānā huā
sitāre toḌ ke maiñ us kī maañg bhartā thā
ye ārzūoñ kā mausam bahut purānā huā
ye lag rahā hai ḳhayāloñ se phir vo guzre haiñ
hamārī aañkh meñ jab āñsuoñ kā aanā huā
uThāyā us ne tabhī jab use zarūrat thī
girāyā us ne nigāhoñ se jab girānā huā
ḳhud apne pairoñ pe qātil ke dar pe aatā huuñ
lahū meñ apne hameñ jab kabhī nahānā huā
ki qatl ho gayā maqtūl saath qātil ke
ye vaar us kā magar mujh pe ādilāna huā
'ovais' ab to kuchh 'ādat sī ho ga.ī hai hameñ
ham un ke paas ga.e jab bhī zaḳhm khānā huā
kisi ke tir-e-nazar ka ye dil nishana hua
lo un ka ab to KHayalon mein aana-jaana hua
ye kaun joD raha hai uTha ke har TukDa
ke mere dil ko to TuTe hue zamana hua
ki waqt-e-nazaa nikalti hai ruh jis tarah
wo mere jism se is tarah se rawana hua
wo is qadar meri aankhon ko de gaya pani
ki sard raaton mein ruKHsar ko nahana hua
jo is mein aaya tha wo kya dahakta suraj tha
sulag ke KHak mere dil ka aashiyana hua
sitare toD ke main us ki mang bharta tha
ye aarzuon ka mausam bahut purana hua
ye lag raha hai KHayalon se phir wo guzre hain
hamari aankh mein jab aansuon ka aana hua
uThaya us ne tabhi jab use zarurat thi
giraya us ne nigahon se jab girana hua
KHud apne pairon pe qatil ke dar pe aata hun
lahu mein apne hamein jab kabhi nahana hua
ki qatl ho gaya maqtul sath qatil ke
ye war us ka magar mujh pe aadilana hua
'owais' ab to kuchh 'adat si ho gai hai hamein
hum un ke pas gae jab bhi zaKHm khana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.