kisi ke zikr se daim hamari zindagani hai
kisī ke zikr se daa.im hamārī zindagānī hai
aur us kī raah se haTnā hamārī rā.egānī hai
hamāre ḳhvāb chāhat aarzū saarī tamannā.eñ
tumhī ho tum nahīñ to kyā hamārī jāvedānī hai
tirī chāhat meñ ham shiddat-pasandī par utar aa.eñ
hamāre biich haa.il hai jo ye dīvār Dhānī hai
ḳhudā terī zamīñ pe terā baTvārā nirālā hai
kahīñ ḳhushkī hī ḳhushkī hai kahīñ paanī hī paanī hai
hameñ bachpan hī se abbā ne samjhāyā thā ki 'ārif'
mohabbat ke sivā duniyā kī har ik chiiz faanī hai
kisi ke zikr se daim hamari zindagani hai
aur us ki rah se haTna hamari raegani hai
hamare KHwab chahat aarzu sari tamannaen
tumhi ho tum nahin to kya hamari jawedani hai
teri chahat mein hum shiddat-pasandi par utar aaen
hamare bich hail hai jo ye diwar Dhani hai
KHuda teri zamin pe tera baTwara nirala hai
kahin KHushki hi KHushki hai kahin pani hi pani hai
hamein bachpan hi se abba ne samjhaya tha ki 'arif'
mohabbat ke siwa duniya ki har ek chiz fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.