kisi KHamosh chehre par wo itminan ka manzar
kisī ḳhāmosh chehre par vo itmīnān kā manzar
jigar ko kāTtā hai ab bhī qabristān kā manzar
azāb-e-shiddat-e-karb-e-judā.ī ko vo kyā jaane
ki dekhā hī na ho jis ne nikaltī jaan kā manzar
uThī kursī kaTā sabza gire patte uḌī chiḌiyāñ
tumhāre ba.ad kyā se kyā huā dālān kā manzar
kahāñ huuñ kaun huuñ ye pūchhtā phirtā huuñ logoñ se
ki mujh se kho gayā shāyad mirī pahchān kā manzar
darīda-naqsh zaḳhmī lafz larzīda qatāroñ meñ
lahū meñ kis ne rangā hai mire dīvān kā manzar
hamāre qatl par chashm-e-falak meñ ḳhuun utregā
fazāoñ meñ sajegā surḳh se tūfān kā manzar
nahā ke pyaar kī bārish meñ us ne dhuup jab pahnī
nazar meñ ghul gayā qaus-e-quzah ke thaan kā manzar
darūn-e-zehn jab zebā.ish-e-afkār hī na ho
gharoñ meñ kyā hai phir ārā.ish-e-sāmān kā manzar
vo jitne diip andar haiñ vo āñkhoñ meñ hī jalte haiñ
aur āñkheñ hī dikhātī haiñ dil-e-vīrān kā manzar
samajhtā huuñ tirī saarī kahānī maiñ ki kyā hogī
hai dikhne meñ agar aisā tire unvān kā manzar
bharī duniyā kā 'tāhir' chappa chappa chhān maarā hai
nahīñ paayā kahīñ bhī shahr-e-pākistān kā manzar
kisi KHamosh chehre par wo itminan ka manzar
jigar ko kaTta hai ab bhi qabristan ka manzar
azab-e-shiddat-e-karb-e-judai ko wo kya jaane
ki dekha hi na ho jis ne nikalti jaan ka manzar
uThi kursi kaTa sabza gire patte uDi chiDiyan
tumhaare baad kya se kya hua dalan ka manzar
kahan hun kaun hun ye puchhta phirta hun logon se
ki mujh se kho gaya shayad meri pahchan ka manzar
darida-naqsh zaKHmi lafz larzida qataron mein
lahu mein kis ne ranga hai mere diwan ka manzar
hamare qatl par chashm-e-falak mein KHun utrega
fazaon mein sajega surKH se tufan ka manzar
naha ke pyar ki barish mein us ne dhup jab pahni
nazar mein ghul gaya qaus-e-quzah ke than ka manzar
darun-e-zehn jab zebaish-e-afkar hi na ho
gharon mein kya hai phir aaraish-e-saman ka manzar
wo jitne dip andar hain wo aankhon mein hi jalte hain
aur aankhen hi dikhati hain dil-e-viran ka manzar
samajhta hun teri sari kahani main ki kya hogi
hai dikhne mein agar aisa tere unwan ka manzar
bhari duniya ka 'tahir' chappa chappa chhan mara hai
nahin paya kahin bhi shahr-e-pakistan ka manzar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.