kisi KHanjar kisi talwar ka muhtaj nahin
kisī ḳhanjar kisī talvār kā muhtāj nahīñ
dil vo mansūr hai jo daar kā muhtāj nahīñ
masnad-o-tāj yā aqdār kā muhtāj nahīñ
'ishq hākim kisī darbār kā muhtāj nahīñ
dil ke ehsās ko kyoñ hājat-e-goyā.ī ho
'ishq-e-sādiq ho to iz.hār kā muhtāj nahīñ
kabhī sahrā kabhī jangal kabhī galiyoñ meñ phire
dil ghumakkaḌ hai jo ghar-bār kā muhtāj nahīñ
be-hunar phirte haiñ shohrat ke ta'āqub meñ yahāñ
par mirā fan kisī parchār kā muhtāj nahīñ
us se kahnā ki vo ab mujh se kinārā kar le
ye bhī kahnā maiñ tire pyaar kā muhtāj nahīñ
haath phailā.e bhī 'sāhil' ne to rab ke aage
maiñ vo mañgtā huuñ jo sansār kā muhtāj nahīñ
kisi KHanjar kisi talwar ka muhtaj nahin
dil wo mansur hai jo dar ka muhtaj nahin
masnad-o-taj ya aqdar ka muhtaj nahin
'ishq hakim kisi darbar ka muhtaj nahin
dil ke ehsas ko kyon hajat-e-goyai ho
'ishq-e-sadiq ho to izhaar ka muhtaj nahin
kabhi sahra kabhi jangal kabhi galiyon mein phire
dil ghumakkaD hai jo ghar-bar ka muhtaj nahin
be-hunar phirte hain shohrat ke ta'aqub mein yahan
par mera fan kisi parchaar ka muhtaj nahin
us se kahna ki wo ab mujh se kinara kar le
ye bhi kahna main tere pyar ka muhtaj nahin
hath phailae bhi 'sahil' ne to rab ke aage
main wo mangta hun jo sansar ka muhtaj nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.