kisi ki aankh mein kya ek pal guzar aaya
kisī kī aañkh meñ kyā ek pal guzār aaya
maiñ apnī ziist ke ranj-o-alam utaar aaya
vo jis ke naam pe ham manzileñ fidā karte
hameñ vo shaḳhs kahīñ raah meñ hī maar aaya
shab-e-firāq se kah Daale dard duniyā ke
kahāñ kā bojh thā aur maiñ kahāñ utaar aaya
ki merī tīra-shabī meñ koī charāġh jale
maiñ is ḳhayāl se rāteñ ka.ī guzār aaya
so ab to dhoka hī khānā mirā muqaddar hai
ye kis jagah pe mujhe le ke e.atibār aaya
majāl-e-tark-e-ta.alluq na ho sakī varna
ḳhayāl-e-tark-e-ta.alluq to bār-bār aaya
udaas kamre kī vahshat kī ḳhair ho yā-rab
ham aise dasht-navardoñ ko bhī qarār aaya
maiñ ek umr se apnī muḳhālifat meñ huuñ
maiñ kyā karūñgā agar us taraf se vaar aaya
ham ek sahn meñ pal kar baḌe hue haiñ 'fahīm'
shajar pe bor to kāñdhoñ pe mere baar aaya
kisi ki aankh mein kya ek pal guzar aaya
main apni zist ke ranj-o-alam utar aaya
wo jis ke nam pe hum manzilen fida karte
hamein wo shaKHs kahin rah mein hi mar aaya
shab-e-firaq se kah Dale dard duniya ke
kahan ka bojh tha aur main kahan utar aaya
ki meri tira-shabi mein koi charagh jale
main is KHayal se raaten kai guzar aaya
so ab to dhoka hi khana mera muqaddar hai
ye kis jagah pe mujhe le ke eatibar aaya
majal-e-tark-e-talluq na ho saki warna
KHayal-e-tark-e-talluq to bar-bar aaya
udas kamre ki wahshat ki KHair ho ya-rab
hum aise dasht-nawardon ko bhi qarar aaya
main ek umr se apni muKHalifat mein hun
main kya karunga agar us taraf se war aaya
hum ek sahn mein pal kar baDe hue hain 'fahim'
shajar pe bor to kandhon pe mere bar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.