kisi ki aankh se aansu Tapak rahe honge
kisī kī aañkh se aañsū Tapak rahe hoñge
tamām shahr meñ jugnū chamak rahe hoñge
chhupā ke rakkhe haiñ kapḌoñ ke biich meñ us ne
mire ḳhutūt yaqīnan mahak rahe hoñge
khilī hai dhuup ka.ī din ke ba.ad āñgan meñ
phir alganī pe dupaTTe laTak rahe hoñge
vo chhat pe baal sukhāne ko aa ga.ī hogī
na jaane ab kahāñ bādal bhaTak rahe hoñge
mire jalā.e hue surḳh surḳh añgāre
tumhāre hoñToñ pe ab tak dahak rahe hoñge
kisi ki aankh se aansu Tapak rahe honge
tamam shahr mein jugnu chamak rahe honge
chhupa ke rakkhe hain kapDon ke bich mein us ne
mere KHutut yaqinan mahak rahe honge
khili hai dhup kai din ke baad aangan mein
phir algani pe dupaTTe laTak rahe honge
wo chhat pe baal sukhane ko aa gai hogi
na jaane ab kahan baadal bhaTak rahe honge
mere jalae hue surKH surKH angare
tumhaare honTon pe ab tak dahak rahe honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.