kisi ki aankhon mein sail-e-ab nahin
Interesting Fact
نذر میرؔ
kisī kī āñkhoñ meñ sail-e-āb nahīñ
zindagī terā bhī javāb nahīñ
ham se kahtī hai shām-e-tanhā.ī
maiñ nahīñ aaj yā janāb nahīñ
dil ko zanjīr kar diyā ham ne
ab vo pahlā sā pech-o-tāb nahīñ
muñh se kuchh bol vaqt thoḌā hai
ḳhāmushī baat kā javāb nahīñ
jis se raushan hai dasht-e-fikr-o-ḳhayāl
ek aurat hai māhtāb nahīñ
saath hai zindagī ke ranj-e-firāq
ek do din kā ye azaab nahīñ
apnī ta.abīr apne paas rakho
merī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb nahīñ
rahm kar rahm rabb-e-maujūdāt
baḳhshishoñ kā tirī hisāb nahīñ
kisi ki aankhon mein sail-e-ab nahin
zindagi tera bhi jawab nahin
hum se kahti hai sham-e-tanhai
main nahin aaj ya janab nahin
dil ko zanjir kar diya hum ne
ab wo pahla sa pech-o-tab nahin
munh se kuchh bol waqt thoDa hai
KHamushi baat ka jawab nahin
jis se raushan hai dasht-e-fikr-o-KHayal
ek aurat hai mahtab nahin
sath hai zindagi ke ranj-e-firaq
ek do din ka ye azab nahin
apni tabir apne pas rakho
meri aankhon mein koi KHwab nahin
rahm kar rahm rabb-e-maujudat
baKHshishon ka teri hisab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.