kisi ki anjuman-e-naz mein hua ruswa
kisī kī anjuman-e-nāz meñ huā rusvā
maiñ ik rind-e-tarab-gāh-e-ārzū Thahrā
vo muskurā diyā sāġhar chhalak uThā dil kā
nasha chaḌhā to kuchh aisā ki phir utar na sakā
kabhī talātum-e-dariyā kabhī hai hasrat-e-dil
hamāre husn-e-talab ko duā se nisbat kyā
ḳhizāñ ke sar koī ilzām kis liye aa.e
gale pe ban gayā ḳhanjar bahār kā saudā
charāġh-e-rāhguzar shān-e-be-niyāzī se
tamām raat havāoñ kī zad meñ raushan thā
kahāñ ke dār-o-rasan kushta-e-vafā ke liye
use to kūcha-e-jānāñ kī lag chukī hai havā
jabīn-e-shauq to rakh dī hai āstāñ pe tire
havā-e-dil na uḌā le chale sū-e-sahrā
vo jis ke husn kā shohra tamām shahr meñ hai
sunā hai 'anjum'-e-vahshī pe mehrbān huā
kisi ki anjuman-e-naz mein hua ruswa
main ek rind-e-tarab-gah-e-arzu Thahra
wo muskura diya saghar chhalak uTha dil ka
nasha chaDha to kuchh aisa ki phir utar na saka
kabhi talatum-e-dariya kabhi hai hasrat-e-dil
hamare husn-e-talab ko dua se nisbat kya
KHizan ke sar koi ilzam kis liye aae
gale pe ban gaya KHanjar bahaar ka sauda
charagh-e-rahguzar shan-e-be-niyazi se
tamam raat hawaon ki zad mein raushan tha
kahan ke dar-o-rasan kushta-e-wafa ke liye
use to kucha-e-jaanan ki lag chuki hai hawa
jabin-e-shauq to rakh di hai aastan pe tere
hawa-e-dil na uDa le chale su-e-sahra
wo jis ke husn ka shohra tamam shahr mein hai
suna hai 'anjum'-e-wahshi pe mehrban hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.