kisi ki be-ruKHi hai aur main hun
kisī kī be-ruḳhī hai aur maiñ huuñ
ma.āl-e-āshiqī hai aur maiñ huuñ
falak ne phir na.e fitne jagā.e
kamāl-e-dushmanī hai aur maiñ huuñ
jigar ke daaġh haiñ sham-e-farozāñ
har ik sū raushnī hai aur maiñ huuñ
ḳhushī kā baab mujh ko DhūñDhtā hai
kitāb-e-zindagī hai aur maiñ huuñ
matā-e-dil luTā.e jā rahā huuñ
mirī dariyā-dilī hai aur maiñ huuñ
thā kal tak raunaq-e-bazm-e-hasīnāñ
magar ab bebasī hai aur maiñ huuñ
saje 'āzād' kaise bazm-e-hastī
yahī gar zindagī hai aur maiñ huuñ
kisi ki be-ruKHi hai aur main hun
maal-e-ashiqi hai aur main hun
falak ne phir nae fitne jagae
kamal-e-dushmani hai aur main hun
jigar ke dagh hain sham-e-farozan
har ek su raushni hai aur main hun
KHushi ka bab mujh ko DhunDhta hai
kitab-e-zindagi hai aur main hun
mata-e-dil luTae ja raha hun
meri dariya-dili hai aur main hun
tha kal tak raunaq-e-bazm-e-hasinan
magar ab bebasi hai aur main hun
saje 'azad' kaise bazm-e-hasti
yahi gar zindagi hai aur main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.