kisi ki chah mein dil ko jalana Thik hai kya
kisī kī chaah meñ dil ko jalānā Thiik hai kyā
ḳhud apne aap ko yuuñ āzmānā Thiik hai kyā
shikār karte haiñ ab log ek tiir se do
kahīñ nigāh kahīñ par nishāna Thiik hai kyā
bahut sī bātoñ ko dil meñ bhī rakhnā paḌtā hai
har ek baat har ik ko batānā Thiik hai kyā
gulāb lab to badan chāñd ātishīñ ruḳhsār
nazar ke sāmne itnā ḳhazāna Thiik hai kyā
tamām shab mirī āñkhoñ kā ḳhvāb rahte ho
tamām raat kisī ko jagānā Thiik hai kyā
kabhī baḌoñ kī bhī bātoñ kā maan rakkho 'shams'
har ek baat meñ apnī chalānā Thiik hai kyā
kisi ki chah mein dil ko jalana Thik hai kya
KHud apne aap ko yun aazmana Thik hai kya
shikar karte hain ab log ek tir se do
kahin nigah kahin par nishana Thik hai kya
bahut si baaton ko dil mein bhi rakhna paDta hai
har ek baat har ek ko batana Thik hai kya
gulab lab to badan chand aatishin ruKHsar
nazar ke samne itna KHazana Thik hai kya
tamam shab meri aankhon ka KHwab rahte ho
tamam raat kisi ko jagana Thik hai kya
kabhi baDon ki bhi baaton ka man rakkho 'shams'
har ek baat mein apni chalana Thik hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.